ussay azmaanay do
Posted in Dil-e-hasrat mujhay mitanay do, ussay azmaanay doDil-e-hasrat mujhay mitanay do
Ishq mein mujh ko jal jaanay do
Mjhko malom he khuab-e-haqiqat
Phr bhi zura dair tou aur aanay do
Kia bataen tmhe khalish kia hoti he?
Lazat-e-gham pe khil k mskorane do
Toot janay mei han ajeeb lazzat hai
Toot kar mujh ko bhikher jaanay do
Oomid-e-bahara’n say durr lagta hai
Mat koi khuab ab hamen suhanay do
Teri aankhon ke jaam bus meray liyay
Aub tou bhur k hamen ye pemanay do
Nahi aub iske siwa dil ki tamunna koi
Tmko chahti hun bhot mjko chahnay do
Suno chahne ko tmhe ye kum hai ummr
Lakay koch aur mujay abhi,zamanay do
Deed-e-neeyat huwi aubhi kahan pori?
Samnay baitho,mujhay dekhy janay do
Aur phir ishhq ka kia ” taqaaza” hai?
Yun hi rasam-e-waffa nibhanay do
Zaat py meri usay pora haq hai maha
Jaan hun uss ki, ussay azmaanay do
0 comments: