Thursday, 9 July 2015

0

shaam ke baad

Posted in , ,


shaam ke baad
tune dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad
kitne chup chaap se lagte hain shajar shaam ke baad

itne chup chaap ke raste bhi rahenge laa-ilm
chor jayenge kisi roz nagar shaam ke baad

main ne aese hi gunah teri judai mein kiye
jaise tufaan mein koi chor de ghar shaam ke baad

shaam se pehle wo mast apni uraano mein raha
jis ke haathon mein they TuTe hue par shaam ke baad

raat biti to ginne aable aur phir socha
kaun tha baa_is-e-aaGaaz-e-safar shaam ke baad

tu hai suraj tujhe maalum kahaa.N raat kaa dukh
tu kisi roz mere ghar mein utar shaam ke baad

laut aaye na kissi roz wo aavara mizaaj
khol rakhte hain isi aas pe dar shaam ke baad
"Farhat abbas shah poetry"

0 comments: