Monday 29 June 2015

0

Wo to khushboo hai by Parveen Shakir

Posted in , , , , , , ,

Woh toh khushbu hai hawaon mein bikhar jayega,
Masla phool ka hai phool kidhar jayega.

Hum toh samjhe the ki ek zakhm hai bhar jayega,
Kya khabar thi ki ragg-e jaan mein utar jayega.

Woh hawaon ki tarah khanabajan phirta hai,
Ek jhounka hai jo aayega guzar jayega.

Woh jab aayega toh phir uss ki rafaqat ke liye,
Mausam-e gul mere aangan mein thehar jayega.

Aakhir woh bhi kahin rett pe baithi hogi,
Tera ye pyaar bhi dariya hai utar jayega.. !

0 comments: