Wednesday 8 July 2015

0

Laakh Doori ho Magar Aehad Nibhate Rehna

Posted in , , ,


Laakh Doori ho Magar Aehad Nibhate Rehna

Laakh doori ho Magar'aehad nibhate rehna,
Jab bhi barish ho, mera sog manate rehna,

Tum gay ho to sar-e-shaam ye adat thehri,
Bus kinare pe kharay haath hilate rehna,

jane is dil ko ye aadab kahan se aye,
uski raho'n mein nigahon ko bichate rehna,

ek muddat se ye mamol hua hai ab to,
aap hi roothna aur aap manate rehna,

tum ko maloom hai farhat ke ye pagal pan hai,
door jate hue logo'n ko bulate rehna,
"Farhat abbas shah"

0 comments: